Friday, February 18, 2011

neend ke shehar me chand ka diya liye

neend ke shehar me chand ka diya liye
       hamne khayi hain thokren raat bhar
 
     ye aankh jhapki nahi or raat katai nahi
       ham khawab sajate rahe raat bhar
 
     aayenge aayenge aa hi jaayenge wo
       u hi dil ko behlaate rahe raatbhar
 
     dil ko kisi maanind bhi sakun na mila
       her tarika aajmaate rahe raatbhar

shikwaa naa kar ai dil ruswaai hogi

          shikwaa naa kar ai dil ruswaai hogi 
          tere pyaar ki u hi jag hansaai hogi
        
         lakh sir patko pukaaro chahe kitnaa
         teri kismat tau bas ye tanhaai hogi
 
         naa jaane kis kadar kehar barpa hoga
         jab tere nam ki shmma usne bujhai hogi
 
         hame bhulaakar chain naa paayega wo b
         uski kismat me bhi aisi hi tanhaai hogi
 
         jise chahega wo tootkar baad hmaare neelu
         us se uski bhi ik din u hi zudaai hogi.

her ik ko haale dil sunaaya nahi karte

her ik ko haale dil sunaaya nahi karte
     khud ko u tmaasha banaaya nahi karte
 
     maana ki bhut chot khayi hai tumne dil pe
     per zakhm her ik ko dikhaya nahi karte
 
     sun ke teri dastaan hans degi ye duniya
     u mohabbat ko afsaana banaaya nahi karte
 
     jalte raho chirag ki maanind per khbar rahe
     khud apnaa aashiyaan u jalaya nahi karte

Mehsoos Hoti Hai

Mohabbat Ki Woh Shiddat
Aaj Bhi Mehsoos Hoti Hai
Purani Chot Hai Laikin Nayi
 Aaj Bhi Mehsoos Hoti Hai
 Judai Me Milan Ki Tashnagi 
Aaj Bhi Mehsoos Hoti Hai
Meri Aankhoun Me Tu,
Khawaboun Me Tu,
Saansoun Me Tu Hi Tu Hai
Gar Tujhe Choona Bhi Chahoun Toh Tujhe Mein Choo Nahi Sakti
Koi Deewar Raahoun Me Khadi Mehsoos Hoti Hai
Ye Kaisi Aanch Hai
Sardi Ka Mousam Ki
Hawaoun Me Badan Me
Kyun Lahoo Sansani Mehsoos Hoti Hai
Mein Shayer Hoon Mujhe Shohrat Kabhi Bhula Nahi Sakti
Ghazal Kehne Me Hi MujhKo Khushi Mehsoos Hoti Hai

khudgarzi ki intah

gam mera aapna hai
tu to begana hai
 yaar  se zaida
gam-e-yaar pyara hai

IS chaman mein hi hamara bhi  ik zamaana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyaana tha
tumhin guzar gayedaman bacha ker warna yahan
yahi shabab, wohi dil wo hi zamana tha

main to sahil tha jo chalta bhi to kaise chalta
wo bhi maujon ki tarah aaya aur pal bhar bhi na thehra
chand pagal tha jo chala aaya meri jaanib
main to baadal tha humesha se be-ghar thehra....

   baadlo ke barsne kaa intezzar naa karo
   kabhi kabhi ye u bhi guzar jaate hain  
   aur ham tanhaai me teri raah takte takte
   her roj teri yaad ki shamma jlaate hain


Wednesday, February 16, 2011

Mar Jaty Hain,

Kisi din tez barish main
Agar tum bheeg jao to
Agar barish k ye qatray
Tumhari zulf ko chu kar
Tumharay gaalon ko chumen
Agar barish k pani say
Agar thandi hawaon say
Kisi purzor jhonkay say
Meri jan jhoom jao to
Mujhy tum yaad kar lena
Agar khwahish ho aisay main
Koi sathi ho bahon main
Jo chheray zulf ko teri
Teray rukhsar ko choomay
Tu jhoomay us ki bahon main
Teri bahon main wo jhoomay
Mujhy tum yaad kar lena....~

mohabbatoN meiN bhi ka'ee madd-o-jazar deikhey heiN

Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata
 Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata