Saturday, February 12, 2011

Doston Se Kaha Karta Tha Woh Bhi


Doston Se Kaha Karta Tha Woh Bhi
Kya Yeh Bhi Jee Saqta Hai Mere Bin,

Mazak Ban Jaya Karta Tha Jo Doston Mein
Khud Ko Tanha Samajhta Tha Woh Mere Bin,

Esy Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagalpan
Tasawar Mein Woh Batein Karta Tha Mere Bin,

Wo Mosmon K Badalny Se darta Nahi Tha Lekin
Bahaar Mein Murjhaya Karta Tha Mere Bin,

Ab Aas Toot Gayei Us k Aany Ki
Lagta Hai Jeena Seekh Chuka Hai Mere Bin !

No comments:

Post a Comment