Sunday, February 6, 2011

HAQEEQAT_E_HUSN

Khuda se husn nay ik roz yeh sawal kia,

Jaha'n main kio na mujhy tunay laazawal kia,

Milla jawab k tasveer-e-khaana hay ye dunya,

Shab-e-daraaz hy, adam ka fasana hay ye dunya,

Hoi hay rang-e-taghayur say jub namood iski,

Wohi haseen hay haqeeqat zawaal hay jiski,

Kahin qareeb tha, ye guftugu QAMAR nay suni,

Falak pay aam hoi akhtar-e-sehar nay suni,

Sehar nay taary say sun ker sunai shabnum ko,

Falak ki baat bata di Zamee'n kay mehram ko,

Bhr aay phool kay aansu payam-e-shabnum say,

Kali ka nanha sa dil khoo'n hogaya gham say,

Chaman say rota hoa mosam-e-baahar gaya,

Shabab seir ko aya tha sogwaar gaya.

No comments:

Post a Comment