Friday, February 18, 2011

khudgarzi ki intah

gam mera aapna hai
tu to begana hai
 yaar  se zaida
gam-e-yaar pyara hai

IS chaman mein hi hamara bhi  ik zamaana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyaana tha
tumhin guzar gayedaman bacha ker warna yahan
yahi shabab, wohi dil wo hi zamana tha

main to sahil tha jo chalta bhi to kaise chalta
wo bhi maujon ki tarah aaya aur pal bhar bhi na thehra
chand pagal tha jo chala aaya meri jaanib
main to baadal tha humesha se be-ghar thehra....

   baadlo ke barsne kaa intezzar naa karo
   kabhi kabhi ye u bhi guzar jaate hain  
   aur ham tanhaai me teri raah takte takte
   her roj teri yaad ki shamma jlaate hain


No comments:

Post a Comment