sehma sehma saa koi khwab bataya maine
yaa haqikat ko sareaam jtaaya maine
bewfaai ka ho shikwa yaa zudaai ka sitam
jo bhi ho badi lazzat se uthaya maine
phul sukhe huye qadmo me bikhar jaate hain
jab b gazlo ki kitabo ko uthaya maine
unki sookhi si mehak yaado ka dariya laayi
mushkil se wo dariya b dabaya maine
raat kaa rang bhi dil ki tarha kaala nikala
kayu subha ke ujalo ko gawaya maine
aaj tau apano per b hame bhrosa nahi raha
apne saye ko b her zurm sikhya maine
No comments:
Post a Comment